Black Tea Kaise Banaye? Recipe (Vidhi) in Hindi | Make and Prepare

Black Tea Kaise Banaye Recipe (Vidhi) in Hindi  Make and Prepare

Yaha janege black tea (Kaali chaye) kaise banaye. Recipe (Vidhi) in Hindi, How to make black tea, Hindi me puri jankari. Black tea ko bana kar pina kafi faydemand hoti hai, is post me kaafi simple tariko se back tea banana step by step sikhaya gya hai.

Black Tea Banane Ke Liye Kya-Kya Chahiye

  • Chaai ki tapeli(Pan)
  • 1 Cup paani
  • 1/2 Chammach Chaai Patti(Black Tea Leaves)
  • Chini(Sugar)

Black Tea Kaise Banaye

  • Black Tea banaye ke liye, ek Tapeli me 1 cup paani daale.
  • Paani garam hone par tapeli me 1/2 chammach Chai paati aur taste ke hisab se Chini daale. Aur use fir dhimi aanch par ubalne de.
  • Chai ubal jaane ke baad gas ko band kar de, aur ek Cup me Chai ko chhan le.
  • Toh lijiye aapki Sehat ke liye faydemand Black Tea tyaar hain.


Black Tea Motapa(Weight) Kam Karne Ke Liye Kaise Banaye | Black Tea Benefits


Agar aap apna vajan ghatane ke liye Black Tea Pina ya banana chahte hain. Toh aapko bas upar bataye gaye steps follow karne hain.

  • Chini(Sugar) ki jagah bas aapko shehed(Honey) daalna hain.
  • Shehed(Honey) ko ubalein nahi, bas is baat ka dhyaan rakhe.
  • Daily ek cup Black Tea pine se aapko aapka Motapa(Weight) kam hota dikhega.



Agar main aapko Black Tea ke fayde batau toh iske kai faayde Green Tea jaise hi hain. Jaise Motapa kam karna, Face aur baalo ki sundarta badhana. Aur isi ke sath ise pine se kai bimaariyon se bhi bacha jaa sakta hain.

Related Post:

Green Tea kaise banaye